![hazrat musa ka mojza darya e neel aur science ki tehqeeq totkay in urdu](https://i.ytimg.com/vi/yQpo1wei_VA/hqdefault.jpg)
Aap k sath aap k bhai Haroon A.S aur Yusha bin Noon thay (jin ko baad me Nabi banaya gya tha) aur Fir’oun ka ‘Mard-e-Momin’ tha, jis ne Fir’oun k samnay Musa ki tarafdari ki thi.
Phir jab mamla complicated hogya aur halat sakht hogae aur sakht amna samna hogya aur dil halqoun me phunch gae tau is mushkil waqt me Azeem Qudrat walay Parwardigaar ne Apnay ‘hum-kalaam’ hazrat Musa ki traf wahi bheji :
“ (Ae Musa) samandar per apna asa’a /stick maarye..”
Tau Hazrat Musa ne stick samandar per maari. Aur aik qaul k mutabiq sath sath ye bhi kaha, “Allak k hukm se (Raastoun me) phat ja.”
Aur her aik tukra /piece youn ho gya, goya wo aik bara pahaar hai…
Kaha jata hai k wo darya samnay se 12 raastoun/ routes me divide hogya aur Bani Isra’ael 12 qabeeloun/ tribes me thay. Lehaza her her qabeela aik aik raastay per hogya. Aur sab aik dosray ko daikh rahay thay. Because pani aisa saaf a’aena/ mirror hai k dosri traf ki cheezain nazar aati hain.
Tau darya/ river ka pani paharoun/ mountains ki trah khara tha aur Us azeem qudrat ki wajah se ruka hua tha Jis ki shaan hai k jab Wo ksi cheez ko “Kun” keh day tau wo cheez foran ho jati hai. .. Subhan’Allah
Aur sath sath sab aik dosray ko intahai khushi se mubarakbaad day rahay thay, kioun k wo Azeem Khudawandi ka mujazah /miracle daikh rahay thay, jo nazireen /viewers ko hairat-zada kar day aur Momin’een k diloun ko hidayat-yaab kar day.
Phir jab Hazrat Musa samet tamam afraad shru se aakhir tak darya se paar hogae aur bikul darya se juda/separate hogae. Us waqt Fir’oun k lashkar ka pehla hissa us raastoun me enter hua.
Tau Hazrat Musa ne irada kia k darya ko dobara stick marain ta k wo apni purani halat me wapis laut aye aur kafiroun ko unki traf raasta na milay.
Laiken Rab-e-Zuljalal ne hukm farmaya k aisa mat karo. Darya ko apni isi halat per chorr do (means sakin/ still renay do)..
Phir Fir’oun darya k rasta bani hue halat per qareeb aya. Qudrat k ajeeb karishmay ka nazara kia aur bht hairan aur mar’ob hua.
Wo badbakht tau pehlay hi manta tha k Musa ka Rab sacha hai, magar hat dharma ki wajah se qabool na krta tha. Ab tau baat aur pukhta hogae thi k ye sab kuch karny wali Zaat Arsh-e-Kareemi k Parwardigaar ki Zaat hai.
Ye soch kar peechay hat aya aur agay barhnay ki himmat na hue. Aur apnay lashkar k samnay sakhti ka muzahira /pretend kia aur soch bichaar kar k kaha:
“Daikho, darya kaisay mere lye (apnay seenay ko cheer kar) rasta provide kar raha hai. Ta k main apnay bhagoray ghulamoun ko apnay gabzay me dobara lay aoun..”
But actually wo apni internal condition ko apni qaum k logoun se chupa raha tha k main tau un k peechay ab jana nahi chahta.
(because wo Khuda’ai azaab ko qareeb mehsoos kar raha tha).
Fir’oun pareshani k alam me kabhi agay barhta, kabhi peechay hat’ta. Isi trah kuch dair hota raha, qareeb tha k wo peechay hat ata, k qudrat ka ajeeb karishma paish aya.
Hazrat Jibra’ael A.S (the angel) aik jawan khoobsurat ghori (Mare) per namudar hue, aur wo ghori Fir’oun k horse k samny se walk karti hue guzri. Horse us ko daikh k foran lapka aur us k peechay peechay chal para.
Jibra’ael A.S ne ghori ki speed taiz ki aur darya k banay hue rastay me enter hogae. Peechay se, Khuda’ai ka dawa karny wala Fir’oun apny horse ko bhi na rok saka jo k us hi rastay me enter hogaya.
Aur us k peechay peechay us ki qaum k log bhi dortay hue enter hogae.
Aur jab Fir’oun se laiker akhir tak her shakhs darya k rastoun me ghuss gya, tab Allah ne Musa ko hukm farmaya k ab apni ‘lathi’/ stick darya per maro.
Tau jaisay he Musa ne apna asa’a /stick pani per mara, darya ghaiz-o-ghazab ki alamat ban gya. Aur sab rastay pehli halat per pani ban gae. Aur koi insan nijat na paa ska.
Farman-e-Ilahi hai:
Thank you friends for watching my video
If you like my videos then don't forget like and share of this video
Subscirbe Health Tips & Tricks and stay with us.
↪►► All Of About Islami Wzaif, Health and Fitness Related All Of Men Problem, Desi Totakay and Tips,Informative videos, News, & Much More.. So Plz Subscribe Us Here...
↪►► https://www.youtube.com/channel/UCPfL...
Like Us On Facebook...
↪►► https://web.facebook.com/Health-Tips-...
Follow Us On Google + ...
↪►► https://plus.google.com/u/0/106966751...
Follow Us On Twitter...
↪►► https://twitter.com/hamadkhan131
My YouTube Video Links:
“””””””””””””””””””””
https://www.youtube.com/watch?v=LfIOa...
https://www.youtube.com/watch?v=KkzmB...
hazrat musa ka mojza darya e neel aur science ki tehqeeq totkay in urdu | |
17 Likes | 17 Dislikes |
8,142 views views | 508K followers |
People & Blogs | Upload TimePublished on 15 Dec 2016 |
Không có nhận xét nào:
Đăng nhận xét